Monday, 30 July 2018

Dukh: Pareshani ya Chunauti?

Raahon me chalte chalte kuch log mile aaj hume,
Ek duje ki kahaniya sunte sunte kab subah se shaam ho gayi pata hi nhi chala.

Unlogo ki baaton se laga ki duniya me dukhon ki kami nhi hai.

Koi dukhi tha kyuki naukri nhi lag rahi,
To koi isliye ki chokhri nhi patt rahi.

Koi dukhi tha kyuki ghar p maa uski baat nhi samajh rahi thi,
To koi isliye kyuki ghar me baat karne k liye maa nhi thi..

Koi dukhi tha kyuki uske pass paao me pehenne k liye joote nhi the,
To koi isliye kyuki joote pehenne k liye paao nhi the.

Inn sab logo ka dukh sunke dil ko kaafi dukh hua,
Par mann ko utna hi santosh mila.
Ki chalo bhai saab, apni jindagi to achche se katt rahi hai..

Kuch dur aur jaane p kuch aur musafir mile.

Koi isliye khush tha kyuki usne naukri na milne k gum me IAS nikal liya tha,
To koi isliye khush tha, kyuki chokhri na patane k chakkar me, usne paise bachakar apni maa ko ek saree tohfe me di thi..

Koi khush tha kyuki paao se laachar hone k karan usne ek kursi p baithe baithe puri sansaar ki rachna likh di,

To koi isliye kyuki ghar p maa ko baat samjhate samjhate vo pehli baar apni maa ka dukh samajh gaya tha.


Kisi ne sach hi kaha hai,

Duniya me pareshani naam ki koi cheez nhi hoti, sab kuch ek chunnoti hai, ek jariya hai, aage badhne ka.

Subah k mitron ne mujhe dukh ko jeena sikhaya, to shaam k mitron ne mujhe unn dukho se apni kamyabi ki siddhiyo ko banana..





Wednesday, 25 July 2018

The Compilation!